Aaj Bhi Tera Asara Kal Bhi Teri Aas
Har Ghadi Ye Asara Baba Hai Tera Vishwas
Hai Tera Vishwas Baba Hai Tera Vishvas
Ye Jeevan Naiya Hai Is Naiya Ka Tuhi Manjhi Hai
O Shyam O Shyam O Shyam Mere Shyam
Jo Bhi Hara Hai Tu Uska Sahara Hai Khatu Wala Hai
O Shyam O Shyam O Shyam Mere Shyam
Dagamag Dagamag Dole Naiya
Naiya Ka Na Koi Khivaiya
Bin Manjhi Ke Nav Chale Na Ab Patavar Sambhalo
Par Lagao Na Aake Sambhalo Na Kyon Der Lagate Ho
O Shyam O Shyam O Shyam Mere Shyam
Sunale Zara O Krishna Kanhaiya
Jisne Bhi Saumpi Hai Tumhe Naiya
Tumne Usko Par Lagaya Banakar Ek Khivaiya
Shyam Tere Dar Ka Main Bhi Bhikhari Hoon Meri Bhi Sun Lena
O Shyam O Shyam O Shyam Mere Shyam
Jab Jab Duhkh Ke Badal Chhaye
Lile Chadhakar Shyam Hi Aye
Shyam Ki Mahima Badi Nirali Pankaj Bhi Hai Gaye
Hui Gar Galati To Kshama Kar Dena Tum Mere Svami Ho
O Shyam O Shyam O Shyam Mere Shyam