Sab Jeete Jee Ke Jhagde Hai
Ye Mera Hai Vo Tera Hai
Jab Tan Se Swaanse Nikal Gayi
Fir Kya Tera Hai Kya Mera Hai
Sab Jeete Jee Ke Jhagde Hai
Ye Mera Hai Vo Tera Hai
Hum Se Pahle Yaha Kitno Ka
Sab Maal Khajana Chhot Gaya
Dekha Sabne Koi Apna Hi
Aakar Ke Unko Loot Gaya
Jis Din Tu Jag Se Jayega
Koi Sath Na Tere Aayega
Tere Apne Chita Sajayenge
Koi Apna Aag Dikhayega
Sab Jeete Jee Ke Jhagde Hai
Ye Mera Hai Vo Tera
Jhoothe Rishte Jhoothe Naate
Jhoothi Baato Mein Khoya Hai
Iss Jhoothi Duniya Mein Faskar
Har Insaan Ek Din Roya Hai
Teri Kya Jag Mein Hansti Hai
Ye Beyimaano Ki Basti
Tujhko Bhi Bhula Degi Pyare
Ye Dopal Rokar Hansti Hai
Sab Jeete Jee Ke Jhagde Hai
Ye Mera Hai Vo Tera Hai
Prabhu Ne Jo Swaanse Di Tujhko
Inko Na Vyarth Gavaya Kar
Kuchh Pal Fursat Ke Lekar Ke
Shree Shyam Sharan Mein Aaya Kar
Uss Prabhu Ka Harpal Shukar Kare
Hum Swaans Swaans Mein Jikar Kare
Romi Jab Sang Hai Sanwariya
Kis Baat Ka Hum Fir Fikar Kare
Sab Jeete Jee Ke Jhagde Hai
Ye Mera Hai Vo Tera Hai
Jab Tan Se Swaanse Nikal Gayi
Kya Tera Hai Kya Mera Hai